Tuesday, October 17, 2006

Aaina Kyan Bole?

Aksar jab aaina dekhti hoon... toh yeh khayaal aata hai,
ki kya dikhta hai- bachpan, jawani ya budapa?
jo bhi dikhe... lekin kya sheesha har baar sach bolta hai?
Sab kehte hai badi ho chuki hoon main... budape ki aur kadam bada rahi hoon main

Phir jab bhi aaina dekhti hoon... toh bachpan hi kyon nazar aata hai?
Ab bhi aankhon mein woh shararat hai... jo rasoi se achar churate waqt hoti thi
Ab bhi woh sawaal sunai padte hai... Jo koi bhi nai baat jaankar uthte the
Ab bhi woh josh mahsoos hota hai... Jo koi bhi naya kaam karte waqt hota tha
Ab bhi woh hi sapne nazar mein hai... jo gudiya se khelte waqt hote the

Ab bhi ji chahta hai ki koi mujhe bigaade
Ab bhi ji chahta hai ki koi mujhe sanwaare
Ab bhi ji chahta hai ki koi mere saath waqt bitaaye
Ab bhi ji chahta hai ki koi mujhe sataaye
Ab bhi ji chahta hai ki koi mujhe manaaye
Ab bhi ji chahta hai ki koi mujhe hansaaye

Phir kyon sab kehte hain mujhe bada... kyon kisi ko woh bachpan aata nahin nazar?
bachpan agar pehchaan bhi le koi... toh kyon use galat bataaya jaata hai?
Kyan umra ke sachmuch itne kade pehre hain? Kya duniya ke sachmuch itne chehre hain?
Aksar jab aaina dekhti hoon... toh yeh khaayal aata hai....

4 comments:

Anonymous said...

Hi Bhanu

U r right dear. Ur thinking is as pure as bachpan. Never let it go. Hold it tightly in ur hands. May be in future ur mirror shows wrinkle or dark circles under your eyes but never let 'the shararat' of ur eyes go.

Anonymous said...

You are a very fine company around and you should remain that way all your life..no matter what. Its the child inside you that keeps a smile on everyone's face who is around you. Never fail it ever. Please.

A beautiful poem written in my favorite language for poetry - second to only urdu and persian.

Your expressions are simple yet striking. They make me feel as if you have written this poem talking about me. That is the beauty of it actually. It is universally applicable and very easy to empathise.

Keep it up. Keep blogging.

Bincy Chacko said...

good one bhanu..we all kno how multi talented u are..retaining the child in us is all wat is needed 2 make this world a better place 2 live !!

SUMS said...

hey bhanu
hi dear nice to know that my childhood nalayak c friend can be so inteligent